Ki jab tum so rahe ho
Bahut mushqil hai
Ki jab tum so rahe ho
Batla sako kuchch bhi
Sach to dur ki shai hai
Ki jab tum so rahe ho
Sun sako kuchch bhi
Badal kar karwaten mumkin
hai
Ki tum phir Khawab na dekho
Magar ye band aankhen
Kaise numaya sach karengi
Ye silwaten jo hain tumhari
neend Se paida
Bhala kaise hatengi
tumhen kaise dikhegi
Ki jab tum so rahe ho
Jo Tumhare jaagne ki surten
Ban ne nahin de te
Tumhen jo khwab main ladna
Sikhate hai
jo Tumhen har baat par adna sikhate hain
Bade maahir bade shatir
Bahut pahunche madari hai
Bahut mushqil hai
ki jab tum so rahe ho
Ye Saaf Ganga kis Ko dikhlayen
Kahan hum munh Ko dhoyen
Aur Kahan ja kar k nahayen
Ya ki darwaza band karlen
Saari bimaari band ho jayen
Ya tab tak
huqumat k Likhe wo safhe dohrayen
Jinhe tum padhte padhte so Gaye thae
Tum hi batao Kya karen
Ki jab tak tum so rahe ho.
Sumati
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home